
Customer Reviews
Ayesha K. ★★★★★
Upar wala hanging rack necklaces ke liye best cheez hai, sab kuch nazar aata hai ek nazar mein, tangled nahi hoti chains ab. Neechay drawers mein rings aur bangles rakh di hain, crystal knobs bhi kitne pretty lag rahe hain dressing table pe.
Sana M. ★★★★★
Glass panel pe hooks kaafi hain, meri saari long necklaces easily fit ho gayin without overlapping. Drawers smooth khulte hain aur velvet lining ke wajah se earrings scratch nahi hoti.
Hira A. ★★★★★
Size expect se thora bara nikla box, bohat saman aa gaya isme. Ek drawer sirf earrings ke liye rakhi hai, dusri rings ke liye, teesri mein loose jewellery. Bohat organized feel hoti hai ab room.
Zainab T. ★★★★☆
acha design hai, acrylic clear hai to dust jama hone pe fori nazar aa jata hai clean karna parta hai thora zyada. Baki drawers ke handles bhi sturdy hain, koi wobble nahi.
Fatima R. ★★★★★
Dressing table pe rakha hai to matching bhi lag raha hai decor ke sath, gold accents ache lagte hain. Sabse acha ye laga ke necklaces alag alag hooks pe hain to milti nahi ek dusre se, warna pehle hamesha uljhi rehti thi.